Quora Se Online Paise Kamane Ke Tarike

Aaj ka mera ye post Quora ke baare me hai jo Internet par ek badi website hai jis par million’s views rojaana aaten hai or ye ek sabse badi question-answer site hai Jahan aap kisi ke question ka answers de sakten hai or apne question ka answers prapt kar sakten hai.

Quora se online paise kamaane ke tarike
Earn money online from Quora 

Is site par aap question-answer ke sath post bhi kar sakten hai.

Aaj ke time me log isse paise bhi kamaane lage hain or iska sabase bada fhayeda ye hai ki yahan se million’s me traffic aap apne site ya YouTube par send kar sakten hai.

    Quora se paise kamaana kaise start karein?

    Ye sabse bada question hai ki kya Quora se paise kamaaye jaten hai to mera answer aapke liye ye rahega ki agar koi vyakti mahanti hai to wo kahien se bhi paise kamane me saksham hota hai isme koi do rah nahi hai ki aap ko kisi bhi field me mahanat to karni padegi tabhi aap paise kamaa paoge.

    Quora se directly paise kamaane ke tarike

    Quora se paise kamaane ke kai tarike hain jinse aap ek moti rakam kamaane me saksham ho sakten hai.

    Quora se online paise kamaane ke tarike
    Quora monetisation 

    Quora se kai tarikon se paise kamaaye jaten hain wo tarika directly or indirectly dono ho sakten hai. Quora se direct paise kamaane ke liye aap Quora ke official aap ko play store ya App Store se download kar sakten hai ya fhir is website ko kisi web browser me open kar is par aapko login kar ke ek space creat karna hota hai jisko aap Facebook page ki tarah samaj sakten hai.

    Quora par aap apna space banakar usko turant monetise kar sakten hai or uske baad us space par aap post ya kisike question ka answer ya apne dwaara puche gaye questions ka answer pakar or unpe jo views aate hai unke aap ko Quora paise pay karta hai or jab Quora account me $10 hone par aap usko apne bank account me sidhe withdrawal le sakten hai.

    Quora se indirectly paise kamaane ke tarike 

    Abhi aapne upar janaa ki Quora se directly paise kaise kamaate hain lekin sabase jyada Quora ka use log indirectly paise kamaane ke liye use karte hai kyu ki jaisa mene upar bataaya he ki Quora par traffic bahut jyada aata he to is traffic ko aap apni blog website par la sakten hai.

    Quora ke traffic ko apne blog ya YouTube, Facebook par laane ke liye Quora me puche gaye questions ka answer karna hai or jiske baare me question pucha gaya hai agar aapka blog post iska satik answer uplabdh karataa he to aap apne answer me apne blog post ka link de sakten hai jisse darshak adhik janakari jutaa sake or bhali bhanti samajh sake.

    Iske dwaara darshak ko uska answer mil jayega or aap usse paise kamaane me saksham ho paayenge.

    Conclusion 

    Quora se paise kamaana isper aadharit hai ki aap Quora par kitna active rahten hai or kitne views apni post or question-answers par la paten he lekin agar aap Quora ke traffic ko apni blog website par aakarshit karne me kamyaab rahte hain to aap Quora ka accha upyog kar sakte hain paisa kamaane ke liye, online paisa kamaana thoda muskil jarur hai lekin agar vaikti mahanat karta he to ve yahaan se motaa paisa banane me kamyaab jarur hota hai. 

    Quora website ek bahut hi gyanavardhak online website hai jisse aap knowledge or paise kamaane ke liye use kar sakten hai.




    एक टिप्पणी भेजें

    0 टिप्पणियाँ