Is post mai maine kam investment ke sath business kaise Karen iske baare mai kuch ideas aapke sath share (shanja) kiye hai umeed hai ki aapko mere davaara share kiye gaye ye ideas pasand aayenge.
Offline Earning |
Mere davaara diye gaye kuch vicharon (ideas) ki suchi:-
1. Tuition or coaching center
2. Food shop
3. Juice shop
4. Tea stall
5. Photography
6. Tiffin service
7. Mobile recharge shop
8. Tour guide
9. Sports Coaching
10. Singing and dancing school
1. Tuition or coaching center:-
Doston aaj ke time main sabhi ko apane bachon ke liye tuition or coaching ki jarurat hain kyunki sabhi ko apane bachon ko achcha education upalabad karwana hai or uneh accha siksit vyekti banaana hain. Isiliye aaj ke time me agar aap offline ya online tuition or coaching start kar sakten hai or isko aap apana parimary work banaa sakten hai or accha paisa kamaa sakten hain. Tuition or coaching center aap kam paise lagaa kar or ek cchoti suruaat ke sath bhi kar sakten hain.
2. Food shop:-
Doston aaj ke samye me food shop kholkar aap ek acchi income kar sakten hai. Isme aap kam paisa lagaakar suruaat kar sakten he or ise bade istar tak lakar jaa sakten hai. Aaj ke samye me aapne dekha hoga ki har koi saptant me baahar ka khane ka vichar karten hai or ve kisi food shop par jaaten hai or apane man pasand khana khakar aaten hai. Aap isse ye pataa laga sakten he ki aaj ke samye me food shop ki kafi aavsayekta hai or iski badti jarurat ke sath aap kam nivesh karke badi rakam banaa sakten hain.
3. Juice shop:-
Aaj ke samye me juice shop ek kam nivesh ke sath kiya jane wala sabse accha vichar he or ise aap kai bhi nagarpalika ki anumati se ek cchoti si jagaah me bhi isthapit kar sakten hain. Ye ek esa bussiness he jiski kafi mang he or iska istemaal deen partideen badta jaa rahaa hai. Juice shop ke liye aapko ek aisi locatioin ki aavsayekta hoti hain jahaan kafi log aakar vahan rukat he jaise bus stop etc.
4. Tea stall:-
Tea stall sabse jyada sujaya jane wala kam he kyunki abhi is samye me sabse jyada piye jane wala pay padarth india me chai(tea) he or aap apane aas paas ye dekh sakten hain ki sabse jyada aapko tea stall hee dekhne ko milten hain. Tea stall me sabse kam nivesh ki aavsayekta hoti he. Tea stall se aap kam nivesh me acchi kamaai kar sakten.
5. Photography:-
Photography aaj ke time me ek accha opation he or ye ek accha bussiness he jise aap kam staff ke sath ya bina staff ke bhi suru kar sakten he. Aaj ke time main shadi shmaaroh, janam deen party, festivals or any bahut se shmaaroh me photography or videography ka kafi parchalan hain or ye din partidin badta jaa rha hain or aaj ke samye me isse aap acchi income banaa sakten hai. Photography ke liye aapko accha camera or ek high specification wale laptop ki aavshyekta hoti hain.
6.Tiffin Service:-
Bhag dod bhari lifestyle me aaj ke samye me kisi ke paas itna time nahi hota ki wah apane liye khana pakaa sake ya kisi ko accha khana banaana nahi aata iske chalte log apane liye Tiffin service laten hai. Tiffin service ko koi bhi aadmi ya orat kar sakten hain. Tiffin service ki mang ka area baahar rhe kar kaam karne or student jo ghar se dur rahe kar padne wale apane liye tiffine service leten hain. Tiffin service start karne ke liye aapako accha khana banaana aana chahiye.
7. Mobile recharge shop:-
Aaj ke time me bahut se log apane mobile se hi recharge kar laten hain lakin aaj bhi kuch log aise he jo in sabka istemaal aaj bhi nahi karte he to aap is business ko in logo ko target karke kar sakten hain. Ye ek kam skill ve technical knowlage ke bhi kar sakten or ismr nivesh bhi kam lagaana padta he or iske sath aap or bhi mobiles se sambandhit samaan bech sakten hain.
8. Tour guide:-
Tour guide me aapko multipal languages ki janakaari hona aavshyekat hoti hain kyunki tourists ko unki apani languages me samjana padta hai. Tour guide ko kafi darsaniye sthano ki acchi jaankari honi chahiye. Tour guide ek bahut hi saandar karye hai or iski kafi mang hai kyuki india me touriests ke dekhne layak bahut sthan hai jo baaki duniya se kafi alag or aakarsak hain jinko dekhne ke liye desh-videsh se kafi sankhya me log aaten hain jinko aap ye service dekar paise kamaa sakten hain.
9. Sports coaching:-
Sports coaching ke liye aapko accha skiled hona chahiye kyunki is kam ke andar sports ki skill hona chahiye. Abhi ke time me sports coaching ki bahut mang hain jiske chalte is area me yadi aapko sports ke baare me acchi knowlage hai to aap ek sports coaching khol sakten or iski jaruratmand logo ko service pardan karke aap paise kamaa sakten hain.
10. Singing and dancing school:-
Agar aapko singing or dancing ka accha knowlage hai to aap singing or dancing school khol sakten he. Is field me aaj ke time me kai career options ubar kar aa rahe hai or high pay job upalabdha hain. Singing or dancing ke liye ek badi city me honi chahiye kyunki yahan badi sankhya me customers upalabdha hain.
Meri ye post aapko kaisi lagi umeed hai acchi lagi hogi is post me sujaye gaye offline earning se sambandhit mene kuch vichar aapke sath sanjaa kiye hain.
0 टिप्पणियाँ